Tuesday, February 14, 2012

Vijay aur Prem

Vijay ke leye prayojan hai taiyari, vijay kya yon hi mil jayege? Vijaye to har koi hona chata hai, lekin har koi uske liye paryapt taiyari nahi karta. Ek bar yuddh arambh ho jaye to taiyariyo ka samay beet jata hai. Chalte yuddh me kya aap yuddh karenge? ya uske liye taiyari? Vijay ke liye kiye gaye taiyari, vijay ke icha shakti ko aur drir banati hai. Yuddh to taiyariyo ka antim charan matra hai, jo kiye gaye taiyariyon se nirdharit hota hai. Ek bar dhang se taiyari kar li, to vijay apne aap tay ho jati hai.

‎"prem hota kya hai ?...ek aisi maadakta ek aisa naitik nasha jis mein doobkar aas-paas ka saara satya nirarthak lagne lagta hai aur vo jis se prem karta hai saare arth usi mein samahit hone lagte hain....aur yadi prem mein doobna hi hai toh pehle parvyakti ko bhalibhaanti jaan lo.....yu bhi jo prem apne sanjoye sapno aur apne samooche vyaktitva ko nashta kar de, vo prem, prem nahin bhool hai, apraadh hai..

‎"Jis tarah ke vichaar hum astitva ko sampreshit karte hain, vaisi hi urjaa humein astitva dwaara praapt hoti hai....
vichaaron ka sakaaratmak hona anivaarya hai, phir raahsaral aur sugam hoti chali jaati hai....!!"

~Acharya Chanakya

No comments: